Na kar tu apne aap ko itna busyke choot jae dosto ke saath mastyAur ho jaye teri zindagi itni SASTIKi na rahe duniya main teri koi HASTI***************
Agar hoti meri koi Hasti,To basa lete main apni hi posh se ek basti,Hoti ek jheel aur usme ek Kasti,Ladkiyan Rangeen and full with Masti,Jam kar hota dance and Daru milti sasti,Khelte jab bhi hota man,Jindgi wait main nahi attakti,Sorry sir, no sir ki batain nahi khatakti,
Yaad ate hai wo dinJab hum ladi banaya karte thaePhuljhadi ke sang dhero Anar sulgaya karte thaeKya masti thi kya josh tha aur hathon ko jalaya karte thae..
Karte thae IntezaarGaya Dusshehra ab toh hai diwali agle somwar..

A small poetry on the eve of Lord Krishna’s birthday:Ek chhoti si kavita Bhagwaan Krishna ke jaman ke uplakshya mein
Maakhan chorr hai aayo,Yashomati Maiya ka nandlala,Dharti pe bhagwan ka avataar hai aoyo,Harne Kans jaise papi koKarne kalyan Dharti maa ka..

Sat sat naman karenGuru tere charan hum padeTere roop mein sankalp dekhaTere roop se sayyam seekha.
Jab maa durga kripa bhayee (bhayee = hui)Jab Lanka pe Ram na chadhai karaeeTab Gunja anupam jai Ghosh..Jai Ram Jai Ram Jai Ghosh !
Rakshas pe punya ki jeet.
Rakshas pe punya ki jeet.
Inteha Ho Gayi Intezar Ki,Aaye Na SMs Mere Yaar Ki,Hai Mujhe Yeh Yakin,Kanjoos Wo Nahi,Phir Wajah Kya Hui?Intezaar Ki…
Humpe Sitam Na Kijiye,Aisa Karam Na Kijiye,Duniya To Behaya Hai,Duniya Ka Gam Na KijiyeHum To Ek Hi Baat Kehte Hai,Humko SMS Karna Band Na Kijiye…
Aur neta ji bhashan sunane lage,Janta ko apne wayde batane lag gaye,Poocha kisi ne ki aalingan desh prem ka kitna zaroori,Bechare netaaji, isko ashleel batane lag gaye !!!
Hindi Lyrics:
kavi raja ab kavita ke na kaan marodo
dhande ki kuch baat karo kuch paise jodo
sher shayri kavi raja na kaam aayegi
kavita ki pothi ko dimak kha jayegi
bhav chad rehe anaj mahenga ho raha din din
bhooke maroge raat kategi tare gin gin
esiliye yeh kahata hoon yeh sab chodo
dande ki kuch baat karo kuch paise jodo
are chodo kalam mat chalo kavita ki chaki
ghar ki rokad deko kitne paise baki
are kitna ghar mein ghee hai kitna garam masala
kitne papad mongbadi mirch masala
kitna tel noon mirch haldi aur dhaniya
kavi raja chupke se tum ban jao baniya
are paise pe racho kavay bhook per geet banao
are ghehun per ho ghajal dhan ke sher sunao
noon mirch per chopai chaval per ho dohe
sugal koyale per kavita likho to sohe
kam bhade ki kholi per likho kawali
jan jan karti kaho rubai paise vali
sabdo ka janjal bada lafda hota hai
kavi samelan dost bada jhagda hota hai
mushayere ke shero per ragda hota
paise vala sher bada tagda hota hai
esiliye kaheta hoon na esse ser phodo

AJEE LOG TO NAA JAANE KYA KYA LIKHTE HAI,DUNIYA KE BAZAAR MEIN BIKTE HAIN,HUM TO BAS HAAL DIL KA BAYAAN KARTE HAI,AUR LOGON KO APNA BANA LIYA KARTE HAI
ISS KHEL KE MAIDAAN MEIN KAHIN HAAR HAI TO KAHIN JEET HAI,KAHIN JEET HAI TO KAHIN HAAR HAI,SABPE CHAYA KOI KHUMAAR HAI,MAUSAM BHI BADA SADABAHAAR HAI,KABHIE DHOOP TO KABHIE CHAANV HAI,SHOR BHI APAAR HAI,SABKA KHULA JO KANTHDWAAR HAI.HAAR GAYA HAI JO,WO JEETNE KO BETAAB HAI,LAD RAHA HAI AISE, JAISE JAL RAHA TEZAAB HAI.HAR KISSI KO YAHAN SIRF JEET KA DEEDAR HAI,LAGTA HAI JAISE,JEEVAN MEIN JEET HI SABSE BADA UPHAAR HAI
mitti pe jiski hum rehte hain,
sugandh usi ki hum mein aati hai,
jo garv se sir uncha kar jaati hai,
roshan zamane ko yeh aise kare jaise diye mein jalti baati hai,
aisa kuch hai yeh desh mera,
jiske liye mannn mein harpal deshprem ki bhavan jag jaati hai

JAB HUA AST DHARAM KA SURAJ,
AUR LEEL GAYA DHARTI KO ADHARM KA ANDHKAAR,
TAB AAYE BHOOMI PAR ISSKE PALANHAAR,
BANKE KRISHNA AVATAR,
JHOOM UTHI BAGIYA SAARI,
AUR JHOOM UTHA YEH DHARA TAAL,
JAB SUNA MURARI KA MADHUR RAAG,
BHAR GAYE DHOODH SE SAARE TALAAB,
AUR MIT GAYI DHARTI KI PYAAS,
JAB PADE ISSPE, SHYAM KE PAAVAN PAANV,
TRIPT HUI DUNIYA AUR TRIPT HUA YEH SANSAAR,
JAB GOONJA FIZA MEIN KANHA KA GUNGAAN,
MIL GAYA JEEVAN KO JEEVAN DATA KA SAATH,
JAB AAYE PRITHVI PAR BHAGWAAN,
BANKE GIRIDHAR GOPAL,
MAHAK UTHA AMBAR SAARA,
AUR BHOO KI SUSHMA BHADI APAAR,
JAB AAYE DHARTI PAR GHANSHYAAM,
AISA HUA KUCH JAADOO HAR PRANI PAR,
JAB CHAKHA USNE MADHAV KE RAS KA SWAAD,
KI…
KHATAM HUE DUKH SAARE,
AUR KHUSHIYON KA KHUL GAYA DWAAR,
JAB LAGAYA KESHAV NE SABKA BEDA PAAR,

EK DIN ACHANAK BARSAAT YU AAI,
KI YAAD TERI SANG LAI,
BHIGO GAI BOONDE TAN KO KUCH AISE,
KI DIL MEIN DHADKAN TERI JAGA GAI,
JO AGARR HOTI TU YAHAN,
TO BHEEGTE SAATH HUM ISS BAARISH MEIN,
LIYE HATHON MEIN HAATH TERE,
KHO JAATE YUHIN HUM TERI BAHON MEIN,
PEE ULFAT KI MADIRA,
TERI AANKHON KE PYAALON MEIN,
DEKHTE HUM BHI SANG BAAG MEIN, KHILTI PHULWARI,
BICCHA TERE KADMON MEIN, DUNIYA KI KHUSHIYAN SAARI,
JO HOTI AGARR TU YAHAN SAATH MERE,
TO JASHN MANATE HUM BHI,
IS GUSTAKH BAARISH MEIN SAATH TERE,

SUNTA HOON MAIN SUBAH SHAAM BAS EK GUNGAAN,
HAR GALIYARE MEIN HAR CHAUBARE MEIN BAS EK BAKHAAN,
KI…
BADAL GAYA HAI BHARAT MAHAAN,
PAR MERE MANN MEIN UTHE BAS EK SAWAAL,
KYA WAKAI MEIN BHARAT BADAL GAYA HAI?
PEHLE JO UGTA THA KHETON MEIN DHAAN,
USSE KHATA THA NA SIRF KISAN BALKI PURA HINDUSTAN,
AAJ BHI TO KHATA HAI HINDUSTAN PAR KAHA KHATA HAI KISAN,
PEHLE TO YOGYATA KI HOTI THI PEHCHAAN,
JO MILTA THA HAR YUVA KO KABILIYAT PAR KAAM,
AAJ BHI TO MILTA HAI HAR YUVA KO KAAM,
PAR KABILIYAT CHALI GAYI HAI CHAAR DHAAM,
PEHLE TO MAATI KI APNI POOJA HOTI THI,
AAJ BHI HOTI TO HAI WAISE HI, PAR MAATI KI, JO HAI KISI AUR KI
PEHLE TO NETA KI NETIKTA KA THA GAAN,
AAJ BHI HAI, PAR JAB KARTA HAI APNE KAAM KE LIYE, NETA NETIKTA KA DHYAAN,
PEHLE TO MANDIR, MASJID, GURUDWARE MEIN BASTE THE RAM, RAHIM, GOBIND,
AB TO JISKE PAAS HAI DAAM, BAN GAYA HAI WAHI ALLAH,BHAGWAN
KAISA BADLA HAI YEH BHARAT,
HAAN WAKAI MEIN AISA BADLA HAI BHARAT,
KI JO, KAL TAK KEHLATA THA BHRASHATACHAAR ,BAN GAYA HAI AAJ KA WOH SHISHTACHAAR.

Wo yadein, wo lamhe,wo kisse, wo baatein,chootte hue mere mann ko aamod se bhar deti hai mere tan ko,
Wo gustakhiya,wo shaitaniyaa, wo nadaniyaan, abhi bhi hasati hain gustakh dil ko
Wo ladna, jhagdna, jhagad ke akadna abhi bhi utsuk kar dete hain humko
Wo ruthna, wo manana, wo manane par phir ruthna, aur ruth ke tootna, yaad hai humko
Wo chahat ke nagmei,ishq ke kisse,prem ki baatein aur pyaar bhari mulaquatein karib laati hain aapke aaj bhi humko
Wo mohabbat bhari shamein ulfat bhari raatein yaad hain aaj bhi humko
Wo milan ka waqt, judai ka khat, aaj bhi paas rakh rakha hai humne unko
Wo tere chehre ki muskurahat, aur usse banaye rakhne ki meri suhani hath yaad hai aaj bhi humko
Wo taron ki chaanv aur phoolon pe rakhe tere paanv, sukoon deti hai aaj bhi mere dil ko
Wo teri ek jhalak, jise dekhne ko betaab uthti meri palak aaj bhi tarasti hai dekhne ko tumko
Wo teri aashiqi aur mera deewanapan, jo ban gaya fankar ka fann, rula dete hai aaj bhi humko
Wo teri bewafai,wo humse ruswai, aaj bhi haan aaj bhi ghut ghut ke sahni pad rahi hai humko

JAHAN PE HAR CHEHRE PE MUSKRUHAT SAJE, BINA TENSION KE BHI DIL MEIN SHIKAYAT JAGE, HAR WAQT KHAWABON KA MELA LAGE BAKI SAB CHODH PADHAI EK JHAMELA LAGE, DAWAI KE NAAM PE JO ZEHER KA PAIMANA LAGE, HAZAAR DARDON KO THEEK KARDE JO WAHI ILAAZ EK BIMARI LAGE
JAHAN PE STUDENT KO QUAID JEEVAN LAGE AUR TEACHER JAISE KI KOI JAILER LAGE.
JAHAN PARIKSHA SE PEHLE SHARIR ALAG HI HARQAT KAREIN, PAL PAL KI BHI BARQAT KAREI, SIR DARD SE LEKAR BUKHAR KA IZHAAR KAREI, AUR ISS GHADI MEIN USKA DEEDAR KAREI
RATT RATT KE JEEVAN YAHAN TOTA LAGE, SAMAJH SAMAJH KE BHI NA SAMAJHDARI JAGE, LIKH LIKH KE BHI NA LIKHAWAT SUDHRE VAHI SCHOOL KA BOJH BADA BHARI LAGE
PAR PHIR BHI DIL KAREIN JAANE KO SCHOOL KYUNKI…
MANN PANCHI BAN YAHAN UDE, HEERAN SE BHI TEZ RAFTAAR SE DAUDE AUR DIMAAG KO CATALYSE KAREIN, JISSE PADHNE KA MAUSAM BANE, AUR CLASS MEIN SADA MEHFIL JAME
HAZAAR SAPNO KI KYAARI SAJE, HAR GALTI SE SIKH NAYI MILEIN,MOHABBAT KI BOCHAAR SADA BIKHRE JISSE ISS MADHUBAN KI HAR KALI KHILE
YAHAN PE UNCH NEECH KA KOI BAIR NAHI, LADAI JHAGDE KA KOI ZOR NAHI, ACCHAI KA UNCHA HAATH HAI BURAI PE PADTI SADA GAAZ HAI,
SIR SE LEKAR PAANV TAK PYAAR KA EK BAHAAV HAI,
YAHI DASTAAN E SKOOL KA BAKHAAN HAI SAMAJH GAYE TO BAHUT KHOOB, AUR NA SAMJHE, TO BHI MERA SALAAM HAI.

HAI INSAAN WOH MOHRA KHUDA KA,
JISKI TAQDEER BADALTI RAHTI HAI,
KABHIE ZAMEEN PE, TO KABHIE AASMAN MEIN JO BASTI HAI

kabhi phool mein, kabhi kali mein, kabhi bhanvare mein, kabhi titli mein, dhoondha nahi kahaa kahaa mere jaisa nahi mila mujhe yahan, fir haarkar tootkar main bhatka yahan wahan, na jaane kahaa kahaa, aur paya tujhe yahan, saara jag hai chaaya jahaa.
Waqt ka kaisa hai yeh mod aaya,suraj bhi dekho aaj hamein andhere mein chodh aaya.
kayde kanoon ki is duniya mein dekho kaise bhagya bhi hamara dil tod aaya.
Ab to karmon ki bhi yahan na koi nishaani bacchi hai, jo chaand sitaron ke paas bhi hamari mehnat ki gavahi nahi hai.
Ab jab toot gayi hai saari aashayein chipp gayi hai haath mein kismat ki rekhayein.
Hai himmat ab bhi baaki dil mein, ki jeet ke baazi hum phir se dikhlayein.
Laangh kar ab saari seemayein, karmon ki apni phir se chalo jyot jalayein aur isi jyot se haar ka andhkaar mitayein.
Nahi khatam hua ab bhi jo khel hai, use chalo naye aayam pe le jayein,
ast hue suraj ko bhi chalo phir se ugayein.
Bana baandh nadi par aur chattano ko bhi cheer kar, path apna banayein jo hai himmat hum mein ab bhi baaki, chalo is haar mein bhi jeet kar dikhlayein.
Jo hai sikandar aaj ke chalo unhe mitti ki dhool chatayein aur isi mitti se aashaon ke naye phool khilayein.
Uth rahi is seene mein jo hai chingari chalo use puri aag banayein aur isi aag se har dushman ko jalakar hum jeet ka sehra bandhayein.
chal zara aaj is haari hui baazi ko jeet kar, kalke baazigar kahlayein.
Ab nahi hai chipp chipp ke ashru bahane ka waqt ab to chal samudron mein bhi toofan jagayein,aur is haar ko bhi jeet mein tabdeel kar dikhlayein.

MERI PEHLI MULAQAT
KADAM RAKHA THA JAB SCHOOL MEIN MAINE PEHLI BAAR LIYE HAATH MEIN BAG AUR AANKH MEIN AASOO DO CHAAR. DEKHI KITAABEIN JAB JEEVAN MEIN PEHLI BAAR, MANN KIYA DEKHNE KO UNMEIN BANA HUA CHITRAHAAR.
KAHAN PATA THA TAB KI YEHI CHITRAHAAR BAN JAAYEGA ANDHKAAR.
DIKHI TABHI UJAALE KI KIRAN KHADI DARWAZE KE BAHAAR PEHNE SAREE AUR SIR PE BINDI LAAL.
AA GAYI THI WO ZINDAGI MEI MERE LEKE NAYI BAHAAR.LAG RAHI THI WOH JAISE GULAB KA PHOOL SADABAHAAR .HATHON MEIN LIYE PURSE AUR HOTHON PE MUSKAAN.DIL KE HO GAYE THE MERE CHINNTAAR JAB DEKHTA HI GAYA MAIN USKO EKTAK LAGATAAR, BHOOL KAR SAARI DUNIYA AUR BAG MEIN RAKHA AAM KA ACHAAR .
HO GAYA THA MAIN REFRIGERATOR AUR BHEETAR SE HEATER DEKHKE USKO BAAR BAAR.
AISA HUA THA JAADOO JAB DEKHA THA MAINE
APNI TEACHER KO PEHLI BAAR.

Jo suni aaj dhun nayi hawa mein wo gum gayi, rahi sahi si kah gayi baat wo jo dil ko choo gayi, baat naye pyaar ki baat nayi bahar ki, baat intezaar ki, baat ikraar ki, baat hai jo pyaar ki.
Sawan ghane humne guzare bin us baat ke jo wo ab humein keh gayi.Baat wo jo dil ko choo gayi.Ab shabd kahoo ki kahoo nahi use jo baat yeh kah gayi isi soch mein baat mann mein hi rah gayi, jab har saans meri uske dhun mein kho gayi.
Palke uski kuch aise iqraar kar gayi ki aadhi adhoori baat meri aaj puri ho gayi.

DIL KI BAAT ZUBAN PE LAANE MEIN WAQT KITNA LAGTA HAI,ANKHON SE ISHAARE KARNE MEIN WAQT KITNA LAGTA HAI,
PHIR BHI MOHABBAT KA IQRAAR KARNE MEIN DARR KYUN LAGTA HAI.